Friday, October 1

On a lighter side

Kashti toofan se nikal sakti hai, Shama bujh ke bhi jal sakti hai, Mayus na ho, irade na badal, Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai Zindagi ki rahon mein tumhe jo gam milenge, Mere hoslon se kam milenge, Jab khud ko tanha pao kabhi, Kasam dosti ki bas yaad karna aur samne hum milenge. Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai, Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai, Teer ki kya zaroorat e-janam, Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai…. Leaves don’t just fall from the tree, Clouds don’t just form in the sky, Angels don’t just come down from heaven, And I don’t just message anyone unless they’re special. ( All My Yahoo mates !! ) Tum kya jaano gum kya cheez hai, Tum kya jaano gum kya cheez hai, Are Tum kya jaano gum kya cheez hai, Tumne to sari umar cellotape use ki hai. ( Sajjan loves this one) Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho, Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho, Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai, Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho.

4 comments:

Vc said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Priya said...

kya depth hai !! kuch to hua hai..

ab hum kuch kehte hain...

Kaun rakhta hai yaad naamo ko,
logh insaan ko bhool jaya karte hai.
tum samandur ke baat karti ho,
logh aankho mein doob jaya karte hai.

haaiiiiiiiiii...

Vallabhi Shegaonkar said...

hey Vc, this shayari post is just too good!
Fantastic "shers" :)

Vc said...

Thank you V, Vc bows...........and picks up his pencil.